KHUDGARZ
Khud ko shabit karna
Kabhi duniya k samne
To kabhi apno k samne
Ya phir kabhi Khud k samne
Maine parinde ko dekha hai
Khud ko shabit karte hue
U hi khud ko
nirash mat kar tu
Ae bande
Bahe failay hue
Tera bhi intezar
Ye kamyabi kar rahi hai
Gar Hota kamyab hona
Itna aasan
To kya koi fark hota
Kaise banti
Ye jamin o aashman
Kaise banta Ye do jahan
U haar kar mat baith
Ae bande
Dusro ka to samay aata hai
Tere zamana aayega
Ye phool kante jaher jaam
Sab taiyaar hai
Tu bata to sahi
Taiyyari teri kaisi hai
Harna tere khoon me nahi
Gar hota to
Tu yahan hota nahi
Q haar maan raha hai
Arrr Ye bedard duniya hai
Kabhi kisi k sath nahi
Q manane ki koshish kar raha hai
Sab ko khush rakhne ki
Ye kisi ki aukat nahi
Maine khub dekha usko palate hue
Jispe tu bharosa kabhi kiya karta tha
Ja dekh
Jise tu apna kahta hai
Wo apna to khud bhi nahi
Mat kar U hi apne umar ko kharch
Jo tera nahi
Uska tu nahi
Thori himmat rakh, apni baat rakh
Koi na sune, to unchi apni awaz rakh
Ye khudgarzo ki duniya hai
Sab ko apni padi hai
Tera koi nahi rakhega
Tu khud apna khyal rakh
Mohd Mimshad
No comments:
Post a Comment